Seedhe saade saara sauda seedha seedha hona jee PDF Print E-mail
User Rating: / 1
PoorBest 
Wednesday, 09 March 2011 18:43

Main kabhi bhoolunga na tujhe, chaahe tu mujh ko dena bhula
aadatain jesi hai tu meri, aadatain kaise bhoolun bhala……..

seedhe saade saara sauda seedha seedha hona jee
main ne tum ko paana hai ya tu ne main ko khona jee
aaja dil ki karain saude baazi, kya na raazi aray aare aare aa

sauda hai dil ka yeh, tu kar bhi le
mera jahaan baanhon mein tu bhar bhi le
saude mein de qasam, qasam bhi le
aa ke tu nigaahon mein sanwar bhi le
sauda udaanon ka hai ya aasmaanon ka hai
le le udaanain meri, le mere par bhi le
sauda ummeedon ka hai, khuwaabon ka, neendon ka hai
le le tu neenden meri, nainon mein bhar bhi le

seedhe saade saara sauda seedha seedha hona jee
main ne tum ko paana hai ya tu ne main ko khona jee
aaja dil ki karain saude baazi, kya na raazi aray aare aare aa

dil kahe, tere main hoonton se baton ko chupke se loon utta
us jagah dheere se, haule se, geeton ko apne main doon bitta
oh…dil kahe, tere main hoonton se baton ko chupke se loon utta
us jagah dheere se, haule se, geeton ke apne main doon bitta

sauda taraanon ka hai, dil ke fasaanon ka hai
le le taraane mere, honton pe dhar bhi le
sauda ujaalon ka hai, roshan khayaalon ka hai
le le ujaale mere, aaja nazar bhi le

seedhe saade saara sauda seedha seedha hona jee
main ne tum ko paana hai ya tu ne main ko khona jee
aaja dil ki karain saude baazi, kya na raazi aray aare aare aa

seedha saada… seedha saada…
main ne tum ko… tu ne main ko…

main kabhi bhoolunga na tujhe, chaahe tu mujh ko dena bhula
aadatain jesi hai tu meri, aadatain kaise bhoolun bhala
oh….main kabhi bhoolunga na tujhe, chaahe tu mujh ko dena bhula
aadatain jesi hai tu meri, aadatain kaise bhoolun bhala

sauda yeh waadon ka hai, yaadon, eraadon ka hai
le le tu waade chaahe to tu mukar bhi le
sauda ishaaron ka hai, chaahat ke maaron ka hai
le le ishaare mere, in ka asar bhi le

seedhe saade saara sauda seedha seedha hona jee
main ne tum ko paana hai ya tu ne main ko khona jee
aaja dil ki karain saude baazi, kya na raazi aray aare aare aa
seedhe saade saara sauda seedha seedha hona jee
main ne tum ko paana hai ya tu ne main ko khona jee
aaja dil ki karain saude baazi, kya na raazi aray aare aare aa

Share this post

blog comments powered by Disqus