| Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee |
|
|
|
|
 Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee
   Woh meri shakl mera naam bhulanay wali Apni tasver say kia ankh milatee ho gee  Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say Meray matam ki sada arsh hilaatee hoo gee  Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama Apni palkon pay kaee khwab sulgatee ho gee  Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas Abb Muharam ki tarhan Eid manatee ho gee  Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee  Meri tareek zamanoo say nikalnay wali Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee  Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee...!!!   Tags:
|


