Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma bankar PDF Print E-mail
User Rating: / 2
PoorBest 






Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma bankar
hum say her shaam mili hai tera chehra bankar

 

chand nikla hai teri aankh k ansoo ki tarah
phool mehkay hain teri zulf ka saya bankar

 

meri jaagi huyi raaton ko usi ki hai talash
so raha hai meri ankhon main jo sapna bankar

 

dil kay kaghaz par utarta hai jo sheron ki tarah
meray hontoon pay machalta hai jo naghma bankar

 

raat bhi aaye to bujhti nahin chehray ki chamak
rouh main phail gaya hai woh ujala bankar

 

mera kya haal hai yeh aakay kabhi dekh to lay
jee raha hoon teri bhoola hua vada bankar

 

dhoup main kho gaya woh haath chhura kar
ghar say jo saath chala tha mera saya bankar

 

kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma banker
hum say her shaam mili hai tera chehra banker

Share this post


blog comments powered by Disqus