Meri Zaat Zara si hay Be-Nishan PDF Print E-mail
User Rating: / 0
PoorBest 

 

"Meri Zaat Zara si hay Be-Nishan"

Mein wo kis trha se karon Bayan
Jo kiye gaye hein Sitam yahan
Sunay kon meri yeh Dastaan??
Koi Hamnasheen hay na Razdaan

Jo tha Jhoot wo bana Sach yahan
Nahi Kholi mein ne magar Zubaan
Yeh Akaila pan Yeh Udasiyaan
Meri Zindagi ki hay Tarjuman

"Meri Zaat Zara si hay Be-Nishan"

Kabhi Sooni Subah mein Ghoomna
Kabhi Ujri Shamo mein Dekhna
Kabhi Bheegi Aankhon se Jaagna
Kabhi Beetay Lamhon ko Sochna

Mgr Eik pal hay Umeed ka
Hay Mujhay Khuda ka jo Aasra
Na hi mein ne koi Gila kia
Na hi me ne di hein Duhaiyan

"Meri Zaat Zara si hay Be-Nishan"

Mein Bataon kia Mujhay Kia Milay?
Mujhay Sabar hi ka Sila Milay
Kissi Yaad hi ki Rida milay
Kissi Dard hi ka Sila Milay

Kissi Gham ki dil mein jaga milay
Jo mera hay wo Mujhay Aa Milay
Rahay shad younhi mira Jahan
Keh Yaqeen mein Badlay mera Guman

"Meri Zaat Zara si hay Be-Nishan"

Share this post


blog comments powered by Disqus