Chaand ki Chahat kartay ho Tm Kuch Kuch Pagal lgtay ho PDF Print E-mail
User Rating: / 2
PoorBest 

 

Chaand ki Chahat kartay ho
Tm Kuch Kuch Pagal lgtay ho



Woh Door Falak par rehta hay
Tum Yahein Zameen par Bastay ho

Sitaray us k Humdum hein
Kion Baat nai Samjhte ho

Woh Pariyon k Dais ka Basi hay
Tum Aam si Sorat Rakhtay ho

Keyn Shab bhar Neend nahi Aati?
Keyn Soch mein Doobay Rehtay ho

Jo tum par Beeti Mohabbat mein
Us say Keyn nahi Kehtay ho

Tum Chand ki Chahat Kartay ho
Tum Waqai Pagal Lagtay ho

 

Share this post


blog comments powered by Disqus