Bhot Asaan hay Kehna Mohabbat Tum se karta hon PDF Print E-mail
User Rating: / 0
PoorBest 

Bhot Asaan hay Kehna
Mohabbat tum se karta hon
Mgar Matlab Mohabbat Ka
Smjh lena nai Asaan

Mohabbat pa k kho dena
Mohabbat kho k pa lena
Yeh un logon k Qissay hein
Mohabbat k jo Mujrim hein

Jo mil janay pe Hanstay hein
Bichar janay pe Rotay hein

Sunoo....

Mohabbat karnay walay to
Bhot Khamosh hotay hein
Jo Qurbat mein b Jeetay hein
Jo Furqat mein b Jeetay hein

Na woh Faryaad kartay hein
Na woh Ashkon ko Peetay hein

Mohabat k kisi b lafz ka chrcha ni krtay
Wo Mar k Apni Chahat kbi Ruswa ni kartay

Share this post


blog comments powered by Disqus