|
Tumhein kis nay kaha Tumhain mein yaad karta hoon?
Mohabbat zindagi ka maqsad to nahi thera Na hee zindagi kuch adhori hay tum bin To phir zindagi bhala kyoun tumhari main barbaad karta hoon Tumhein kis nay kaha Tumhain mein yaad karta hoon?
Qasbay gar veeran hoon, pyaar say bas to sakty hein par jub pyaar karta nahi to kyoun bhala un abad qasboon ko mein be-abad karta hoon Tumhein kis nay kaha Tumhain mein yaad karta hoon?
Dekho! do din ki zindagi hay Yaadoon k sahary jeevan beet to sakta hay Meri yaadoon ko yaad rakho mujhy bhool jao bus yehi ik fariyad karta hoon Tumhein kis nay kaha Tumhain mein yaad karta hoon?
|